Roothe Alfaz

Bahut dinon se kuch likha nahin;
Aaj kalam uthaya to alfazon se hi mera saath chooth gaya;
Dil se maddad mangi, to who bhi muskura diya;
Dimag se kaha ki kuch to bata yaar likhun to likhun kya;
To un janab ne bhi meri fariyad ko aunsuna kar diya;

Aaj haath mein kalam hai, kagaz bhi intezar mein hai;
Ansmanjas mein hun ki likhun to kya likhun, kahun bhi to kya kahun;
Jaane kyun alfazon ne aaj jung ka ailan kar diya hai;
Aur to aur Khyalon ne bhi aaj bagavat ka hi rasta apna liya hai;

Jaane kyun khafa hai yeh donon bechare kore kaagaz se;
Uss ne to khud ko bhi inhi paar nichawar kar diya hai;
Par lafz hain hatthi aur man ne ko tyaar hi nahin ;
Hairaan hun main, main pareshan hun main;
Karun bhi to kya karun, kaise manaun inn hatheela lafzon ko;
Bas yunhi baithi hun intezaar mein, haath mein kalam aur saamne kore kaagaz liye……

Image rights: Freepik.com

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *