Jeevan mein aisa waqt jaane kyun aata hai
Har lamha, har shaksh, ajnabi sa nazar aata hai
Har pedh, har patta, har katra, har zarra
Verran anjaan hairan nazar aata hai
Samjhun bhi to kya aur samjhaun bhi kisse
Har dost aaj mujhse naaraz nazar aata hai
Chulbuli ithlati lehrati muskurati main
Nidhal behaal pareshan nazar aati hun
Har sheh se dari sehmi si main
Doston ki mohabbat se mehroom khud ko paati hun
Bataoun to kisse, dikhaun to kisse
Riste ghavon pe malham, lagwaoun bhi to kis se
Andheri galiyon mein raasta talashti main
Na ummedi ki dal dal mein doobti nazar aati hun
Na kashti, na sahil, na saathi, na dost hai mera
khudi ka saaya bhi kyun haath chudata nazar aata hai
Bholi bhali seedhi sadhi si mein
Sazishon ke ghere mein nazar aati hun
Masoom jazbaton ke lahu se
Jane Khud ko sana hua kyun paati hun
Hai aakhir kasoor kya mera
Kyun katghare mein khadi nazar aati hun
Na sataya na rulaya kisi ko kabhi
Kyun aansuon mein khud ko dooba paati hun
Mayusi se ghabrati darti main
Kyun andheron se ghiri nazar aati hun
Bedard bewafa zindagi se jaane
Haari si kyun nazar aati hun
Har waqt, har lamhe, har zarre se kyun
Anjaan ajnabi si khud ko paati hun
Har waqt, har lamhe, har zarre se kyun
Anjaan ajnabi si khud ko pati hun…….