Paristhityon ka bahana karne wale
Kya jeevan ka arth bhi samjhte hain
Jindagi to naam hi hai utar chadaav ka
Seedhi lakeeren to kewal ECG mein mila karte hai
Yeh ho jaye to main shaadi karun
Yeh ho jaaye to main duniya ghoomun
Bas yeh kaam nipat jaaye to gaadi khareedun
Bas yeh aakhri kaam khatam ho to main khush ho jaun
Itna asaan hai kya zindagi ka safar
Kabhi kuch kaam to kahin kuch farz
Yehi woh dhaage hain, jo baandhe jeevan ki dor
Yeh nah ho to bachega hi kya karne ko aur
Yeh sab chalega tabhi to insaan jeeyega
Raat ko sone se pehle ghadi ka alarm arre tabhi to lagega
Plans bhi benenge, budhape ka bhi sochenge
sapnon ke kaalin par tabhi to hum udenge
Jeevan ki destination to maut hai
Iska faisla bhi jeevan milne se pehle ho gaya
To phir jeevan mein milestones hum banate hi kyu hain
kyun nahin lete mazza har lamhe har manzarr ka
Yeh ho to main khush hongi
Yeh na ho to dil mayus ho jayega
Kismet hi nahin meri shayad
Yeh soch kar depress reh jayega
Arrey jeevan jiyo na
Jo hai jaisa hai anand lo na
Har lamha har waqt jaisa hai usse sweekar karo na
Aas mat chodo but mayus to mat ho na
Jo mann mein hai, usse karo na
Waqt ka intezaar nahin khud waqt bano na
Mushkilen, sabhi ki zindagi mein aati hai
In mushkilon se tum ladho na
Haar mat maano, unse tum darro na..
Jeevan jeene ke liye hain
Sirf saans na lo, isse jiyo na
Sirf saans nalo, isse jiyo na