Zindagi ki rahon mein
Aisa waqt bhi aata hai
Manzilen khud ki pehchan bhool jaati hain
Rahen anjaan ho kar, aapka naam pata tak bhool jaati hain
Choti choti si baatein, dil ko uljhane mein kamyaab ho jaati hain
dukh aur takleef ke samundar mein jaane kyun insaan ko dubbati jaati hain
Phir kahin se ek halka sa ehsaas sa jagta hai
Jo dilo dimag ko jhanjhor ke yeh sawwal kar baith ta hai
Zindagi to zindadilli ka naam hai
Itni si zindagi mein chotti baton ke liye waqt kyun?
Jab Mohaabat ke liye waqt nahin to nafrat par samay ki barbadi kyun?
Yeh ehsaas hi gam ka kaala saaya hata jaata hai
Aur ummed ki kiran se zindagi ko roshan kar jaata hai
Han, zindagi mein aisa waqt beshak aata hai
Jab insaan rahen aur manzilen khud tay kar jaata hai
Aur kewal saans hi nahin leta
Par har saans mein zindagi ka luft uthane ki himmat kar jaata hai
Han yeh sach hai Zindagi ki rahon mein
Aisa waqt bhi aata hai
Jab Zindagi khud
Insaan ko jeene ka sabak sikha jaati hai