Zindagi se rusht hai mera mann
Na pyar na chahat na koi hasrat
Seene mein dhadakti bejan dhadkan
Toote sapne adhoori khwaishen aur neras jeevan
Lamha lamha rengti saansen
Katra katra tarasati maut
Aazadi ko tadapti qaidi si rooh
Karkash se chubte jalte aansun ki boond
Bewageh sa jeevan kab tak jiyun
Kiske liye aur kyun jiyun
Na koi zaroorat na chahat kiski
Adhoori kahani ki nirjeev bhumika kahin ki
Kya gunah hai mera bata do khuda
Kyun bhugat rahi hun bewageh saza
Kabhi kisi ka dil nahin dukhaya
Bana ke mazak apna sabhi ko hasaya
Phir bhi aansun mujhe hi kyun
Yeh mayusiyan mujhe hi kyun
Baksh de khuda agar ki hai bhool anjane mein
Mat de saza aur nahin hai himmat seene mein
Toot chuki hun bikhar chuki hun haar chuki hun
Nahin hai himmat ab aur sehne ki mujh mein
Reham kar yaar aur nahin saha jaata
Kaale andheron mein ab aur nahin jiya jaata
Darti hun in andheron se main
Nahin ji sakti inn bandishon mein main
Ek ehsaan karde mujhpe khuda
Mukt karde iss duniya se mujhe
Ehsaan manugi humesha tera
Bas maut ki neend sula de mujhe
Koi khwaish koi hasrat koi aas nahin mujhe
Koi zarroorat nahin kisi ko meri
Ek adhuri si yaad hun duniya mein main
Kisi ko na hasrat na chahat meri
Chah kar bhi kabhi khushi na de paayi kisi ko
Woh manhoos bebas lachar kaya hai meri
Apne hi aansuoun mein doob gayi hun main
Maut ke agosh mein sone ko taras gayi hun main
Mujh par reham kar parvardigar
rehmat ki bheekh mangti hun tujhse
Mukt karde mujhe, nahin utha sakti yeh bhojh ab
Jhukh gaye kandhe, choor ho gayi rooh meri
Bas aakhri dua qubool karde aaj meri
Aankhen bandh hoke bas na kabhi khule meri
Aakhri salam arz hai tere darbaar mein mera
Kal savere ka sooraj ab tere saaye mein ho mera