Safar ek safed chador ka

Mitti mein mitti
Pani mein pani
Hawa mein hawa
Bas kahatm kahani

Kafan ki woh safed chador
Dhakne ko tan kaaafi thi
Beet gayi zindagi riste riste
Bas 6 gaz hi to kamani thi

Akele aaye the akele hi rahe
Akele hi ab chale jayenge
Reh jayengi dhoondti humein
Kuch Adhoore khwab

Aur bikhri parchaiyan

Poocho to zara
Socho to zarra
Waqt ka dariya thamta nahin kabhi

Uchalta koodta nachta jhoomta
Mast morni sa ithlata rehta
Ab na pakdo usse to khata kiski
Zaaya kiya jisne to khata uski

Lamha lamha hai besh keemti iska

Sambhalo sahejo pehchano iisse
Kahin kho na jaaye bekhayli mein
Fisala jo ungliyon se kahin

Na aaya hai na aayega wapis
Guzra jo ek baar kahin
To raho khush jo mila hai uss mein
Jo nahin hai na karo aas uski

Jo na mila usse naseeb samjho
Jo mil gaya usse sahejo

Jaane kab aa jaaye woh lamha ulfat ka

Bas tum aur woh tumhari chador safed si

Na apna na praya koi
Bas agni aur aagosh uski

Reh jayegi har khwaish yahin
Reh jayegi dhan daulat yahin
Jayenge bas karam aur vichar
Lene dene ki sabhi hisab
Aur ek chador saadi si

Ban jayegi pehchaan meri

Kya namm hongi ankhen sabh ki
Ya khush honge tere jaane se
Reh jayegi tu banke bas yaad
Kya gum honge woh sabhi jazbaat

Kahan jayegi kamayi teri daulat
Rupay paise sona chandi
Designer kapde mehange joote
Kuch nahin jayega saath

Arrey Kama sake dhan daulat to theek hai
Na kama sake to bhi kya gam
Akele aaye the duniya mein rote hue

Chale jayege labon par muskan liye

Milke Mitti mein mitti
Pani mein pani
Hawa mein hawa
Aur bas kahatm kahani…

 

image rights: Freepik.com